मैं शराब नहीं पीता

Darta hoon
Apne khayalon se
Darta hoon
Kahin sach na keh doon
Ki zalim hai yeh duniya aur khudgarz hain yeh log

मैं शराब नहीं पीता
Yeh sheher sharaabi
Aur iss sharaabi sheher ka main Raja
Iss sheher ko chalane ke liye koi toh hosh mein hona chahiye?!

मैं शराब नहीं पीता!
Ajeeb si aashiqui hai
Nashe mein dhut ho kar kisi ko yaad mein rona nahi maanta
Bas raat ke 2 baje tanhai mein dooba hua…
Khaton mein kahaniyan likh deta hoon
Ki shayad ki ab toh woh maan jaaye

मैं शराब नहीं पीता!
Neither am I afraid of myself or the truth in its bare
So I sit alone with my thoughts to have real conversations
Where no lie is left unturned
Lies about myself or others

मैं शराब नहीं पीता!
Kabhi socha hai ki kuch palon ki mauj ke liye…
Kitne gharon ki khushiyan chhin jaati hain?!
Kitne bachchon ki padhai ruk jaati hai?!
Pyaar aur aman ko qabr mein dafnakar…
Tanhai nashe dhut padi rehti hai!

मैं शराब नहीं पीता!
Kya hoga agar… ek गिलास aur ek घूँट pe main khud ko rok na paoon?
Kya koi aakar bachayega mujhe?!
Ya doob jaaunga kisi sharaab ki botal mein?
Kya aayenge woh dost?
Jinhone mere honthon se pehla gilaas lagaya tha?

मैं शराब नहीं पीता!
Hasta hoon…
Khelta hoon…
Wahi bachpana apne andar lekar ghoomne ki koshish karta hoon…
Nachta hoon… as if, there is no tomorrow!
Samajhta hoon… apnon aur apne logon ko… as if, there is a better tomorrow!!

मैं शराब नहीं पीता!
Mummy ne mana kar rakha hai!

— नि.भो.